Read and share one of the greatest Poet Allama Iqbal Famous Poetry in Urdu which famous all around the world especially in Pakistan and India. Free download poetry images and share with friends and on social media.
Uthh kay abb bazam e jahan ka aur hii andaz hai
Mashriq o maghrib main teray daur ka aghaz hai
Mujhy dara nhi sakti fiza ki tareeki
Meri sarshat mein hai paki-o-darkhishani
Alfaz o ma-e-ani main tafawat nahi lekin
Mullah ki azan aur hay mujahid ki azan aur
Dil main khuda ka hona lazim ha iqbal
Sajdon main pare rehne se jannat nahi milti
Read More: Allama Iqbal Famous Poetry
کھول آنکھ ، زمیں دیکھ،فلک دیکھ، فِضا دیکھ
مشرق سے نِکلتے ہوئے سورج کو ذرا دیکھ
Khol ankh, zameen dekh, falak dekh fiza dekh
Mashriq say nikalty huwy suraj ko zara dekh
پھُول کی پتی سے کٹ سکتا ہے ہیرے کا جِگر
مردِناداں پر کلام نرم و نازک بے اثر
Phool ki patti se kat sakta hai heeray ka jigar
Mard e nadan per kalam narm o nazik by asar
نہیں ہے ناامید اقبال اپنی کشتِ ویراں سے
ذرا نم ہو تو یہ مٹی بڑی زرخیز ہے ساقی
Nahi hai na-umed iqbal apni kasht e veeran say
Zara num ho tu ye miti bari zarkhez ha saqi
ہو دید کا جو شوق تو آنکھوں کو بند کر
ہے دیکھنا یہی کہ نہ دیکھا کرے کوئی
Ho deed ka jo shauq tu aankhon ko band kar
Hai dekhna yahi keh na dekha karay koi
عقابی روح جب بیدار ہوتی ہے جوانوں میں
نظر آتی ہے ان کو اپنی منزل آسمانوں میں
Uqabi rooh jab bedar hoti hai jawanoo main
Nazar aati hai un ko apni manzil aasmanoo main
ڈھونڈتا پھرتا ہوں میں اقبال ؔاپنے آپ کو
آپ ہی گویا مُسافر آپ ہی منزل ہوں میں
Dhundta phirta hoon main Iqbal apnay aap ko
Aap hi goya musafir aap hi manzil hoon main
بے محنت پیہم کوئی جوہر نہیں کھِلتا
روشن شررِ تیشہ سے ہے خانہء فرہاد
Bay-mehnat peham koi johar nahi khilta
Roshan sarar-e-tesha say hai khana-e-farhad
تو اے مُسافر شب خود چراغ بن اپنا
کر اپنی رات کو داغ جگر سے نورانی
Jjhay dra nahi sakti fiza ki tareeki
Meri sarisht main hai paki o darakhshani
Tu aye musafir shab khud charagh ban apna
Kar apni raat ko dagh e jigar say noorani
آنکھ کو بیدار کر دے وعدہِ دیدار سے
زندہ کر دے دِل کو سوز جوہرِ گفتار سے
Aankh ko bedar kar day wada e deedar say
Zinda kar day dil ko soz e johar e guftar say
پرونا ایک ہی تسبیح میں ان بکھرے دانوں کو
جو مٌشکل ہے تو اس مٌشکل کو آساں کر کے چھوڑوں گا
Parona aik hi tasbih main inn bikhry dano ko
Jo mushkil hai tu iss mushkil ko aasan kar kay chorron ga
Read More: Allama Iqbal Best Shayari