Read Sad Poetry on Mother, Maa Love Shayari with Images. This poetry is famous all around the world. Share with relatives and on social media to show love with your mother.
Lakh Dhondo Phir Aaghosh-E-Muhabbat
Baad Marny Kay Phir Maa Nahi Milti
Maa pehle aansu aate the toh tum yaad aati thi
Aaj tum yaad aati ho aur aansu nikal aate hai
Ab Unhe Mera Bolna Acha Nahi Lagta
Bachpan Main Jo Mugh Say Kahanian Suna Karty Thay
Bhool jaata hoon peraishanian zindagi ki saari
Maa apni god mein jab mera sar rakh leti hai
Read More Top 10: Maa Poetry Urdu
زخم جب بچے کو لگتا ہے تو ماں روتی ہے
ایسی نسبت کسی اور رشتے میں کہاں ہوتی ہے
Zakhm jab bacche ko lagta hai to maa roti hai
Aisi nisbat kisi aur rishte mein kahan hoti hai
وہ تو لکھا کے لائی ہے قسمت میں جاگنا
ماں کیسے سو سکےگی کہ بیٹا سفر میں ہے
Woh toh likha ke laayi hai qismat mein jaagna
Maa kaise so sakegi ki beta safar mein hai
کسی بھی مشکل کا اب کسی کو حل نہیں ملتا
شاید اب گھر سے کوئی ماں کے پیر چھوکر نہیں نکلتا
Kisi bhi mushkil ka ab kisi ko hal nahi milta
Shaayad ab ghar se koi maa ke pair chukar nahi nikalta
زمانے نے اتنے ستم دیے کی روح پر بھی زخم لگ گیا
ماں نے سر پر ہاتھ رکھ دیا تو مرہم لگ گیا
Zamaane ne itne sitam diye ki rooh par bhi zakhm lag gaya
Maa ne sar par haath rakh diya toh marham lag gaya
یہ کیسا قرض ہے جسے میں ادا کر ہی نہیں سکتا
میں جب تک گھر نہ آ جاؤں ماں سجدے میں رہتی ہے
Yeh kisa qarz hai jise main adaa kar hi nahi sakta
Main jab tak ghar na aa jaaun maa sajde mein rehti hai
جسکے ہونے سے میں خود کو مکمل مانتا ہوں
میرے خدا کے بعد میں بس اپنی ماں کو جانتا ہوں
Jiske hone se main khud ko mukammal maanta hoon
Mere khuda ke baad main bas apni maa ko janta hoon
دن بھر کی مشقت سے بدن چور ہے لیکن
ماں نے مجھے دیکھا تو تھکان بھول گئی اپنی
Din bhar ki mashaqqat se badan choor hai lekin
Maa ne mujhe dekha to thakaan bhool gayi apni
جب دوا کام نہیں آتی ہے
تب ماں کی دعا کام آتی ہے
Jab dawa kaam nahi aati hai
Tab maa ki dua kaam aati hai
ماں خود بھوکی ہوتی ہے مجھے کھلاتی ہے
خود دکھی ہوتی ہے مجھے چین کی نیند سلاتی ہے
Maa khud bhooki hoti hai mujhe khilaati hai
Khud dukhi hoti hai mujhe chain ki neend sulaati hai
کسی کو گھر ملا کسی کے حصے میں دکان آئی
میں گھر میں سب سے چھوٹا تھا میرے حصے میں ماں آئی
Kisi ko ghar mila kisi ke hisse mein dukaan aayi
Main ghar mein sab se chota tha mere hisse mein maa aayi
ابھی زندہ ہے ماں میری مجھے کچھ بھی نہیں ہوگا
میں جب گھر سے نکلتا ہوں دعائیں ساتھ چلتی ہے
Abhi zinda hai maa meri mujhe kuch bhi nahi hoga
Main jab ghar se nikalta hoon duaayein saath chalti hai
سخت راہوں میں بھی آسان سفر لگتا ہے
یہ میری ماں کی دعاؤں کا اثر لگتا ہے
Sakht raahon mein bhi aasaan safar lagta hai
Yeh meri maa ki duaaon ka asar lagta hai
اسکے ہونٹوں پہ کبھی بد دعا نہیں ہوتی
بس ایک ماں ہے جو کبھی خفا نہیں ہوتی
Uske honton pe kabhi bad-dua nahi hoti
Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti
Read Also: Maan Ki Shan Naat By Shahi Qadri